'anjum' pe jo guzar ga.ī us kā bhalā hisāb kyā
pūchhe koī savāl kyā lā.eñge ham javāb kyā
ḳhūn-e-dil-o-jigar se hai husn-e-ḳhayāl husn-e-fan
is ke baġhair sher kyā majmūa kyā kitāb kyā
terā hī naam le liyā vaqt-e-ishā.at-e-kalām
is ke alāva aur ham DhūñDte intisāb kyā
terī hī be-ruḳhī se to TuuTā hai dil abhī abhī
ab iltifāt-e-be-mahl ho sake kāmyāb kyā
ham to chaman chaman ga.e dil na shagufta ho sakā
nasrīn-o-nastaran hai kyā laala hai kyā gulāb kyā
tum ko bhī rañj isī se hai ham bhī kuchh is se ḳhush nahīñ
aur ḳharāb is se bhī hogā dil-e-ḳharāb kyā
'anjum' ne aañkh khol ke dard-o-alam jo dekhe haiñ
auroñ ne ḳhvāb meñ agar dekhe to aise ḳhvāb kyā