Mirza Ghalib

fariyaad ki koi lai nahin hai

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
fariyād kī koī lai nahīñ hai
naala pāband-e-nai nahīñ hai
kyuuñ bote haiñ bāġhbāñ toñbe
gar baaġh gadā-e-mai nahīñ hai
har-chand har ek shai meñ tū hai
par tujh sī koī shai nahīñ hai
haañ khā.iyo mat fareb-e-hastī
har-chand kaheñ ki hai nahīñ hai
shādī se guzar ki ġham na hove
urdī jo na ho to dai nahīñ hai
kyuuñ radd-e-qadah kare hai zāhid
mai hai ye magas kī qai nahīñ hai
hastī hai na kuchh adam hai 'ġhālib'
āḳhir tū kyā hai ai nahīñ hai
Top Urdushayar.com