vus.at-e-sa.i-e-karam dekh ki sar-tā-sar-e-ḳhāk
guzre hai ābla-pā abr-e-guhar-bār hunūz
yak-qalam kāġhaz-e-ātish-zada hai safha-e-dasht
naqsh-e-pā meñ hai tab-e-garmī-e-raftār hunūz
dāġh-e-atfāl hai dīvāna ba-kohsār hunūz
ḳhalvat-e-sañg meñ hai naala talab-gār hunūz
ḳhāna hai sail se ḳhū-karda-e-dīdār hunūz
dūrbīñ dar-zada hai raḳhna-e-dīvār hunūz
aa.ī yak-umr se ma.azūr-e-tamāsha nargis
chashm-e-shabnam meñ na TuuTā mizha-e-ḳhār hunūz
kyuuñ huā thā taraf-e-ābla-e-pā yā-rab
jaada hai vā-shudan-e-pechish-e-tūmār hunūz
hoñ ḳhamoshī-e-chaman hasrat-e-dīdār 'asad'
mizha hai shāna-kash-e-turra-e-guftār hunūz