muzhda ai zauq-e-asīrī ki nazar aatā hai
dām-e-ḳhālī qafas-e-murġh-e-giraftār ke paas
jigar-e-tishna-e-āzār tasallī na huā
jū-e-ḳhūñ ham ne bahā.ī bun-e-har ḳhaar ke paas
muñd ga.iiñ kholte hī kholte āñkheñ hai hai
ḳhuub vaqt aa.e tum is āshiq-e-bīmār ke paas
maiñ bhī ruk ruk ke na martā jo zabāñ ke badle
dashna ik tez sā hotā mire ġham-ḳhvār ke paas
dahan-e-sher meñ jā baiThe lekin ai dil
na khaḌe ho jiye ḳhūbān-e-dil-āzār ke paas
dekh kar tujh ko chaman bas-ki numū kartā hai
ḳhud-ba-ḳhud pahuñche hai gul gosha-e-dastār ke paas
mar gayā phoḌ ke sar 'ġhālib'-e-vahshī hai hai
baiThnā us kā vo aa kar tirī dīvār ke paas