sarāpā rehn-e-ishq-o-nā-guzīr-e-ulfat-e-hastī
ibādat barq kī kartā huuñ aur afsos hāsil kā
ba-qadr-e-zarf hai saaqī ḳhumār-e-tishna-kāmī bhī
jo tū dariyā-e-mai hai to maiñ ḳhamyāza huuñ sāhil kā
zi-bas ḳhūñ-gashta-e-rashk-e-vafā thā vahm bismil kā
churāyā zaḳhm-hā-e-dil ne paanī teġh-e-qātil kā
nigāh-e-chashm-e-hāsid vaam le ai zauq-e-ḳhud-bīnī
tamāshā.ī huuñ vahdat-ḳhāna-e-ā.īna-e-dil kā
sharar-fursat nigah sāmān-e-yak-ālam charāġhāñ hai
ba-qadr-e-rañg yaañ gardish meñ hai paimāna mahfil kā
sarāsar tāḳhtan ko shash-jihat yak-arsa jaulāñ thā
huā vāmāñdgī se rah-ravāñ kī farq manzil kā
mujhe rāh-e-suḳhan meñ ḳhauf-e-gum-rāhī nahīñ ġhālib
asā-e-ḳhizr-e-sahrā-e-suḳhan hai ḳhāma be-dil kā