Mirza Ghalib

kal ke liye kar aaj na KHissat sharab mein

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
kal ke liye kar aaj na ḳhissat sharāb meñ
ye sū-e-zan hai sāqi-e-kausar ke baab meñ
haiñ aaj kyuuñ zalīl ki kal tak na thī pasand
gustāḳhi-e-farishta hamārī janāb meñ
jaañ kyuuñ nikalne lagtī hai tan se dam-e-samā
gar vo sadā samā.ī hai chañg o rabāb meñ
rau meñ hai raḳhsh-e-umr kahāñ dekhiye thame
ne haath baag par hai na pā hai rikāb meñ
utnā hī mujh ko apnī haqīqat se bod hai
jitnā ki vahm-e-ġhair se huuñ pech-o-tāb meñ
asl-e-shuhūd-o-shāhid-o-mash.hūd ek hai
hairāñ huuñ phir mushāhida hai kis hisāb meñ
hai mushtamil numūd-e-suvar par vajūd-e-bahar
yaañ kyā dharā hai qatra o mauj-o-habāb meñ
sharm ik adā-e-nāz hai apne hī se sahī
haiñ kitne be-hijāb ki haiñ yuuñ hijāb meñ
ārā.ish-e-jamāl se fāriġh nahīñ hunūz
pesh-e-nazar hai aa.ina daa.im naqāb meñ
hai ġhaib-e-ġhaib jis ko samajhte haiñ ham shuhūd
haiñ ḳhvāb meñ hunūz jo jaage haiñ ḳhvāb meñ
'ġhālib' nadīm-e-dost se aatī hai bū-e-dost
mashġhūl-e-haq huuñ bandagi-e-bū-turāb meñ
Top Urdushayar.com