Mirza Ghalib

barshikal-e-girya-e-ashiq hai dekha chahiye

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
barshikāl-e-girya-e-āshiq hai dekhā chāhiye
khil ga.ī mānind-e-gul sau jā se dīvār-e-chaman
ulfat-e-gul se ġhalat hai dāva-e-vārastagī
sarv hai bā-vasf-e-āzādī giraftār-e-chaman
saaf hai az bas-ki aks-e-gul se gulzār-e-chaman
jānashīn-e-jauhar-e-ā.īna hai ḳhār-e-chaman
hai nazākat bas ki fasl-e-gul meñ me.amār-e-chaman
qālib-e-gul meñ Dhalī hai ḳhisht-e-dīvār-e-chaman
terī ārā.ish kā istiqbāl kartī hai bahār
jauhar-e-ā.īna hai yaañ naqsh-e-ehzār-e-chaman
bas ki paa.ī yaar kī rañgīñ-adā.ī se shikast
hai kulāh-e-nāz-e-gul bar tāq-e-dīvār-e-chaman
vaqt hai gar bulbul-e-miskīñ zuleḳhā.i kare
yūsuf-e-gul jalva-farmā hai ba-bāzār-e-chaman
vahshat-afzā girya-hā mauqūf-e-fasl-e-gul 'asad'
chashm-e-dariyā-rez hai mīzāb-e-sarkār-e-chaman
Top Urdushayar.com