Mirza Ghalib

ki wafa humse to ghair isko jafa kahte hain

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
kī vafā ham se to ġhair is ko jafā kahte haiñ
hotī aa.ī hai ki achchhoñ ko burā kahte haiñ
aaj ham apnī pareshāni-e-ḳhātir un se
kahne jaate to haiñ par dekhiye kyā kahte haiñ
agle vaqtoñ ke haiñ ye log inheñ kuchh na kaho
jo mai o naġhma ko andoh-rubā kahte haiñ
dil meñ aa jaa.e hai hotī hai jo fursat ġhash se
aur phir kaun se naale ko rasā kahte haiñ
hai par-e-sarhad-e-idrāk se apnā masjūd
qible ko ahl-e-nazar qibla-numā kahte haiñ
pā-e-afgār pe jab se tujhe rahm aayā hai
ḳhār-e-rah ko tire ham mehr-e-giyā kahte haiñ
ik sharar dil meñ hai us se koī ghabrā.egā kyā
aag matlūb hai ham ko jo havā kahte haiñ
dekhiye laatī hai us shoḳh kī naḳhvat kyā rañg
us kī har baat pe ham nām-e-ḳhudā kahte haiñ
'vahshat' o 'sheftā' ab marsiya kahveñ shāyad
mar gayā 'ġhālib'-e-āshufta-navā kahte haiñ
Top Urdushayar.com