bahut sahī ġham-e-gītī sharāb kam kyā hai
ġhulām-e-sāqī-e-kausar huuñ mujh ko ġham kyā hai
tumhārī tarz-o-ravish jānte haiñ ham kyā hai
raqīb par hai agar lutf to sitam kyā hai
suḳhan meñ ḳhāma-e-ġhālib kī ātish-afshānī
yaqīñ hai ham ko bhī lekin ab us meñ dam kyā hai
kaTe to shab kaheñ kaaTe to saañp kahlāve
koī batāo ki vo zulf-e-ḳham-ba-ḳham kyā hai
likhā kare koī ahkām-e-tāla-e-maulūd
kise ḳhabar hai ki vaañ jumbish-e-qalam kyā hai
na hashr-o-nashr kā qaa.el na kesh o millat kā
ḳhudā ke vāste aise kī phir qasam kyā hai
vo dād-o-dīd garāñ-māya shart hai hamdam
vagarna mehr-e-sulaimān-o-jām-e-jam kyā hai