gila hai shauq ko dil meñ bhī tañgi-e-jā kā
guhar meñ mahv huā iztirāb dariyā kā
ye jāntā huuñ ki tū aur pāsuḳh-e-maktūb
magar sitam-zada huuñ zauq-e-ḳhāma-farsā kā
hinā-e-pā-e-ḳhizāñ hai bahār agar hai yahī
davām-e-kulfat-e-ḳhātir hai aish duniyā kā
ġham-e-firāq meñ taklīf-e-sair-e-bāġh na do
mujhe dimāġh nahīñ ḳhanda-hā-e-bejā kā
hanūz mahrami-e-husn ko tarastā huuñ
kare hai har-bun-e-mū kaam chashm-e-bīnā kā
dil us ko pahle hī nāz-o-adā se de baiThe
hameñ dimāġh kahāñ husn ke taqāzā kā
na kah ki girya ba-miqdār-e-hasrat-e-dil hai
mirī nigāh meñ hai jam-o-ḳharch dariyā kā
falak ko dekh ke kartā huuñ us ko yaad 'asad'
jafā meñ us kī hai andāz kār-farmā kā
mirā shumūl har ik dil ke pech-o-tāb meñ hai
maiñ mudda.ā huuñ tapish-nāma-e-tamannā kā
milī na vus.at-e-jaulān yak junūñ ham ko
adam ko le ga.e dil meñ ġhubār sahrā kā