dost ġham-ḳhvārī meñ merī sa.ī farmāveñge kyā
zaḳhm ke bharte talak nāḳhun na baḌh jāveñge kyā
be-niyāzī had se guzrī banda-parvar kab talak
ham kaheñge hāl-e-dil aur aap farmāveñge kyā
hazrat-e-nāseh gar aaveñ diida o dil farsh-e-rāh
koī mujh ko ye to samjhā do ki samajhāveñge kyā
aaj vaañ teġh o kafan bāñdhe hue jaatā huuñ maiñ
uzr mere qatl karne meñ vo ab lāveñge kyā
gar kiyā nāseh ne ham ko qaid achchhā yuuñ sahī
ye junūn-e-ishq ke andāz chhuT jāveñge kyā
ḳhāna-zād-e-zulf haiñ zanjīr se bhāgeñge kyuuñ
haiñ giraftār-e-vafā zindāñ se ghabarāveñge kyā
hai ab is māmūre meñ qaht-e-ġham-e-ulfat 'asad'
ham ne ye maanā ki dillī meñ raheñ khāveñge kyā