jaur se baaz aa.e par baaz aa.eñ kyā
kahte haiñ ham tujh ko muñh dikhlā.eñ kyā
raat din gardish meñ haiñ saat āsmāñ
ho rahegā kuchh na kuchh ghabrā.eñ kyā
laag ho to us ko ham samjheñ lagāo
jab na ho kuchh bhī to dhokā khā.eñ kyā
ho liye kyuuñ nāma-bar ke saath saath
yā rab apne ḳhat ko ham pahuñchā.eñ kyā
mauj-e-ḳhūñ sar se guzar hī kyuuñ na jaa.e
āstān-e-yār se uTh jaa.eñ kyā
umr bhar dekhā kiyā marne kī raah
mar ga.e par dekhiye dikhlā.eñ kyā
pūchhte haiñ vo ki 'ġhālib' kaun hai
koī batlāo ki ham batlā.eñ kyā