Mirza Ghalib

kabhi neki bhi uske ji mein gar aa jae hai mujhse

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
kabhī nekī bhī us ke jī meñ gar aa jaa.e hai mujh se
jafā.eñ kar ke apnī yaad sharmā jaa.e hai mujh se
ḳhudāyā jazba-e-dil kī magar tāsīr ulTī hai
ki jitnā khīñchtā huuñ aur khiñchtā jaa.e hai mujh se
vo bad-ḳhū aur merī dāstān-e-ishq tūlānī
ibārat muḳhtasar qāsid bhī ghabrā jaa.e hai mujh se
udhar vo bad-gumānī hai idhar ye nā-tavānī hai
na pūchhā jaa.e hai us se na bolā jaa.e hai mujh se
sambhalne de mujhe ai nā-ummīdī kyā qayāmat hai
ki dāmān-e-ḳhayāl-e-yār chhūTā jaa.e hai mujh se
takalluf bartaraf nazzārgī meñ bhī sahī lekin
vo dekhā jaa.e kab ye zulm dekhā jaa.e hai mujh se
hue haiñ paañv hī pahle nabard-e-ishq meñ zaḳhmī
na bhāgā jaa.e hai mujh se na Thahrā jaa.e hai mujh se
qayāmat hai ki hove mudda.ī kā ham-safar 'ġhālib'
vo kāfir jo ḳhudā ko bhī na sauñpā jaa.e hai mujh se
Top Urdushayar.com