Mirza Ghalib

jab tak dahan-e-zaKHm na paida kare koi

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
jab tak dahān-e-zaḳhm na paidā kare koī
mushkil ki tujh se rāh-e-suḳhan vā kare koī
aalam ġhubār-e-vahshat-e-majnūñ hai sar-ba-sar
kab tak ḳhayāl-e-turra-e-lailā kare koī
afsurdagī nahīñ tarab-inshā-e-iltifāt
haañ dard ban ke dil meñ magar jā kare koī
rone se ai nadīm malāmat na kar mujhe
āḳhir kabhī to uqda-e-dil vā kare koī
chāk-e-jigar se jab rah-e-pursish na vā huī
kyā fā.eda ki jaib ko rusvā kare koī
laḳht-e-jigar se hai rag-e-har-ḳhār shāḳh-e-gul
tā chand bāġh-bāni-e-sahrā kare koī
nākāmi-e-nigāh hai barq-e-nazārā-soz
tū vo nahīñ ki tujh ko tamāshā kare koī
har sañg o ḳhisht hai sadaf-e-gauhar-e-shikast
nuqsāñ nahīñ junūñ se jo saudā kare koī
sar bar huī na vāda-e-sabr-āzmā se umr
fursat kahāñ ki terī tamannā kare koī
hai vahshat-e-tabī.at-e-ījād yās-ḳhez
ye dard vo nahīñ ki na paidā kare koī
bekāri-e-junūñ ko hai sar pīTne kā shuġhl
jab haath TuuT jaa.eñ to phir kyā kare koī
husn-e-faroġh-e-shamma-e-suḳhan duur hai 'asad'
pahle Dil-e-gudāḳhta paidā kare koī
vahshat kahāñ ki be-ḳhudī inshā kare koī
hastī ko lafz-e-m.ani-e-anqā kare koī
jo kuchh hai mahv-e-shoḳhi-e-abrū-e-yār hai
āñkhoñ ko rakh ke taaq pe dekhā kare koī
arz-e-sarishk par hai fazā-e-zamāna tañg
sahrā kahāñ ki dāvat-e-dariyā kare koī
vo shoḳh apne husn pe maġhrūr hai 'asad'
dikhlā ke us ko aa.ina toḌā kare koī
Top Urdushayar.com