Mirza Ghalib

hasad se dil agar afsurda hai garm-e-tamasha ho

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
hasad se dil agar afsurda hai garm-e-tamāshā ho
ki chashm-e-tañg shāyad kasrat-e-nazzāra se vā ho
ba-qadr-e-hasrat-e-dil chāhiye zauq-e-ma.āsī bhī
bharūñ yak-gosha-e-dāman gar āb-e-haft-dariyā ho
agar vo sarv-qad garm-e-ḳhirām-e-nāz aa jaave
kaf-e-har-ḳhāk-e-gulshan shakl-e-qamrī nāla-farsā ho
baham bālīdan-e-sañg-o-gul-e-sahrā ye chāhe hai
ki tār-e-jāda bhī kohsār ko zunnār-e-mīnā ho
harīf-e-vahshat-e-nāz-e-nasīm-e-ishq jab aa.uuñ
ki misl-e-ġhuncha sāz-e-yak-gulistāñ dil muhayyā ho
bajā.e daana ḳhirman yak-bayābāñ baiza-e-qumrī
mirā hāsil vo nusḳha hai ki jis se ḳhaak paidā ho
kare kyā sāz-e-bīnish vo shahīd-e-dard-āgāhī
jise mū-e-dimāġh-e-be-ḳhudī ḳhvāb-e-zuleḳhā ho
dil-e-jūñ-sham.a bahr-e-dāvat-e-nazzāra lāya.anī
nigah labrez-e-ashk o siina ma.amūr-e-tamannā ho
na dekheñ rū-e-yak-dil sard ġhair-az sham-e-kafūrī
ḳhudāyā is qadar bazm-e-'asad' garm-e-tamāshā ho
Top Urdushayar.com