Mirza Ghalib

daim paDa hua tere dar par nahin hun main

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
daa.im paḌā huā tire dar par nahīñ huuñ maiñ
ḳhaak aisī zindagī pe ki patthar nahīñ huuñ maiñ
kyuuñ gardish-e-mudām se ghabrā na jaa.e dil
insān huuñ piyāla o sāġhar nahīñ huuñ maiñ
yā-rab zamāna mujh ko miTātā hai kis liye
lauh-e-jahāñ pe harf-e-mukarrar nahīñ huuñ maiñ
had chāhiye sazā meñ uqūbat ke vāste
āḳhir gunāhgār huuñ kāfar nahīñ huuñ maiñ
kis vāste aziiz nahīñ jānte mujhe
la.al o zamurrad o zar o gauhar nahīñ huuñ maiñ
rakhte ho tum qadam mirī āñkhoñ se kyuuñ dareġh
rutbe meñ mahr-o-māh se kam-tar nahīñ huuñ maiñ
karte ho mujh ko man.a-e-qadam-bos kis liye
kyā āsmān ke bhī barābar nahīñ huuñ maiñ
'ġhālib' vazīfa-ḳhvār ho do shaah ko duā
vo din ga.e ki kahte the naukar nahīñ huuñ maiñ
Top Urdushayar.com