Mirza Ghalib

rahm kar zalim ki kya bud-e-charagh-e-kushta hai

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
rahm kar zālim ki kyā būd-e-charāġh-e-kushta hai
nabz-e-bīmār-e-vafā dūd-e-charāġh-e-kushta hai
dil-lagī kī aarzū bechain rakhtī hai hameñ
varna yaañ be-raunaqī sūd-e-charāġh-e-kushta hai
nashsha-e-mai be-chaman dūd-e-charāġh-e-kushta hai
jaam dāġh-e-shola-andūd-e-charāġh-e-kushta hai
dāġh-e-rabt-e-ham haiñ ahl-e-bāġh gar gul ho shahīd
laala chashm-e-hasrat-ālūd-e-charāġh-e-kushta hai
shor hai kis bazm kī arz-e-jarāhat-ḳhāna kā
sub.h yak-bazm-e-namak sūd-e-charāġh-e-kushta hai
Top Urdushayar.com