gulshan meñ bandobast ba-rañg-e-digar hai aaj
qumrī kā tauq halqa-e-bairūn-e-dar hai aaj
aatā hai ek pāra-e-dil har fuġhāñ ke saath
tār-e-nafas kamand-e-shikār-e-asar hai aaj
ai āfiyat kināra kar ai intizām chal
sailāb-e-girya darpai-e-dīvār-o-dar hai aaj
ma.azūlī-e-tapish huī ifrāt-e-intizār
chashm-e-kushāda halqa-e-bairūn-e-dar hai aaj
hairat-farosh-e-sad-nigarānī hai iztirār
sar-rishta chāk-e-jeb kā tār-e-nazar hai aaj
huuñ dāġh-e-nīm-rañgī-e-shām-e-visāl-e-yār
nūr-e-charāġh-e-bazm se josh-e-sahar hai aaj
kartī hai ājizī-e-safar soḳhtan tamām
pairāhan-e-ḳhasak meñ ġhubār-e-sharar hai aaj
tā-sub.h hai ba-manzil-e-maqsad rasīdanī
dūd-e-charāġh-e-ḳhāna ġhubār-e-safar hai aaj
dūr-ūftāda-e-chaman-e-fikr hai 'asad'
murġh-e-ḳhayāl bulbul-e-be-bāl-o-par hai aaj