Mirza Ghalib

humse khul jao ba-waqt-e-mai-parasti ek din

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
ham se khul jaao ba-vaqt-e-mai-parastī ek din
varna ham chheḌeñge rakh kar uzr-e-mastī ek din
ġharra-e-auj-e-binā-e-ālam-e-imkāñ na ho
is bulandī ke nasīboñ meñ hai pastī ek din
qarz kī piite the mai lekin samajhte the ki haañ
rañg lāvegī hamārī fāqa-mastī ek din
naġhma-hā-e-ġham ko bhī ai dil ġhanīmat jāniye
be-sadā ho jā.egā ye sāz-e-hastī ek din
dhaul-dhappā us sarāpā-nāz kā sheva nahīñ
ham hī kar baiThe the 'ġhālib' pesh-dastī ek din
Top Urdushayar.com