Mirza Ghalib

shabnam ba-gul-e-lala na Khaali z-ada hai

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
shabnam ba-gul-e-lāla na ḳhālī z-adā hai
dāġh-e-dil-e-bedard nazar-gāh-e-hayā hai
dil ḳhūñ-shuda-e-kashmakash-e-hasrat-e-dīdār
ā.īna ba-dast-e-but-e-bad-mast hinā hai
shole se na hotī havas-e-shola ne jo kī
jī kis qadar afsurdagi-e-dil pe jalā hai
timsāl meñ terī hai vo shoḳhī ki ba-sad-zauq
ā.īna ba-andāz-e-gul āġhosh-kushā hai
qumrī kaf-e-ḳhākistar o bulbul qafas-e-rañg
ai naala nishān-e-jigar-e-soḳhta kyā hai
ḳhū ne tirī afsurda kiyā vahshat-e-dil ko
māshūqī o be-hauslagī tarfa balā hai
majbūrī o dāvā-e-giraftāri-e-ulfat
dast-e-tah-e-sañg-āmda paimān-e-vafā hai
mālūm huā hāl-e-shahīdān-e-guzashta
teġh-e-sitam ā.īna-e-tasvīr-numā hai
ai partav-e-ḳhurshīd-e-jahāñ-tāb idhar bhī
saa.e kī tarah ham pe ajab vaqt paḌā hai
nā-karda gunāhoñ kī bhī hasrat kī mile daad
yā rab agar in karda gunāhoñ kī sazā hai
begānagī-e-ḳhalq se be-dil na ho 'ġhālib'
koī nahīñ terā to mirī jaan ḳhudā hai
Top Urdushayar.com