hujūm-e-ġham se yaañ tak sar-nigūnī mujh ko hāsil hai
ki tār-e-dāman o tār-e-nazar meñ farq mushkil hai
rafū-e-zaḳhm se matlab hai lazzat zaḳhm-e-sozan kī
samajhiyo mat ki pās-e-dard se dīvāna ġhāfil hai
vo gul jis gulsitāñ meñ jalva-farmā.ī kare 'ġhālib'
chaTaknā ġhuncha-e-gul kā sadā-e-ḳhanda-e-dil hai
huā hai māne-e-āshiq-navāzī nāz-e-ḳhud-bīnī
takalluf-bar-taraf ā.īna-e-tam.īz haa.el hai
ba-sail-e-ashk laḳht-e-dil hai dāman-gīr mizhgāñ kā
ġharīq-e-bahr jūyā-e-ḳhas-o-ḳhāshāk-e-sāhil hai
bahā hai yaañ tak ashkoñ meñ ġhubār-e-kulfat-e-ḳhātir
ki chashm-e-tar meñ har ik pāra-e-dil pā-e-dar-gil hai
nikaltī hai tapish meñ bismiloñ kī barq kī shoḳhī
ġharaz ab tak ḳhayāl-e-garmī-e-raftār qātil hai