jis bazm meñ tū naaz se guftār meñ aave
jaañ kālbad-e-sūrat-e-dīvār meñ aave
saa.e kī tarah saath phireñ sarv o sanobar
tū is qad-e-dilkash se jo gulzār meñ aave
tab nāz-e-girāñ mā.igi-e-ashk bajā hai
jab laḳht-e-jigar dīda-e-ḳhūñ-bār meñ aave
de mujh ko shikāyat kī ijāzat ki sitamgar
kuchh tujh ko mazā bhī mire āzār meñ aave
us chashm-e-fusūñ-gar kā agar paa.e ishāra
tuutī kī tarah ā.īna guftār meñ aave
kāñToñ kī zabāñ suukh ga.ī pyaas se yā rab
ik ābla-pā vādi-e-pur-ḳhār meñ aave
mar jā.ūñ na kyuuñ rashk se jab vo tan-e-nāzuk
āġhosh-e-ḳham-e-halqa-e-zunnār meñ aave
ġhārat-gari-e-nāmūsh na ho gar havas-e-zar
kyuuñ shāhid-e-gul baaġh se bāzār meñ aave
tab chāk-e-garebāñ kā mazā hai dil-e-nālāñ
jab ik nafas uljhā huā har taar meñ aave
ātish-kada hai siina mirā rāz-e-nihāñ se
ai vaa.e agar māriz-e-iz.hār meñ aave
ganjīna-e-ma.anī kā tilism us ko samajhiye
jo lafz ki 'ġhālib' mire ash.ār meñ aave