Mirza Ghalib

nafas na anjuman-e-arzu se bahar khinch

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
nafas na anjuman-e-ārzū se bāhar khīñch
agar sharāb nahīñ intizār-e-sāġhar khīñch
kamāl-e-garmī-e-sa.ī-e-talāsh-e-dīd na pūchh
ba-rañg-e-ḳhār mire aa.ine se jauhar khīñch
tujhe bahāna-e-rāhat hai intizār ai dil
kiyā hai kis ne ishārā ki nāz-e-bistar khīñch
tirī taraf hai ba-hasrat nazāra-e-nargis
ba-korī-e-dil-o-chashm-e-raqīb sāġhar khīñch
ba-nīm-ġhamza adā kar haq-e-vadī.at-e-nāz
niyām-e-parda-e-zaḳhm-e-jigar se ḳhanjar khīñch
mire qadah meñ hai sahbā-e-ātish-e-pinhāñ
ba-rū-e-sufra kabāb-e-dil-e-samandar khīñch
na kah ki tāqat-e-rusvā.ī-e-visāl nahīñ
agar yahī araq-e-fitna hai mukarrar khīñch
junūn-e-ā.ina mushtāq-e-yak-tamāshā hai
hamāre safhe pe bāl-e-parī se mistar khīñch
ḳhumār-e-minnat-e-sāqī agar yahī hai 'asad'
Dil-e-gudāḳhta ke mai-kade meñ sāġhar khīñch
Top Urdushayar.com