Mirza Ghalib

sar-gashtagi mein aalam-e-hasti se yas hai

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
sar-gashtagī meñ ālam-e-hastī se yaas hai
taskīñ ko de naved ki marne kī aas hai
letā nahīñ mire dil-e-āvāra kī ḳhabar
ab tak vo jāntā hai ki mere hī paas hai
kījiye bayāñ surūr-e-tap-e-ġham kahāñ talak
har mū mire badan pe zabān-e-sipās hai
hai vo ġhurūr-e-husn se begāna-e-vafā
har-chand us ke paas dil-e-haq-shanās hai
pī jis qadar mile shab-e-mahtāb meñ sharāb
is balġhamī-mizāj ko garmī hī raas hai
har ik makān ko hai makīñ se sharaf 'asad'
majnūñ jo mar gayā hai to jañgal udaas hai
kyā ġham hai us ko jis kā 'alī' sā imaam ho
itnā bhī ai falak-zada kyuuñ bad-havās hai
Top Urdushayar.com