Mirza Ghalib

az-mehr ta-ba-zarra dil-o-dil hai aaina

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
az-mehr tā-ba-zarra dil-o-dil hai aa.ina
tuutī ko shash-jihat se muqābil hai aa.ina
hairat hujūm-e-lazzat-e-ġhaltānī-e-tapish
sīmāb-e-bālish o kamar-e-dil hai aa.ina
ġhaflat ba-bāl-e-jauhar-e-shamshīr par-fishāñ
yaañ pusht-e-chashm-e-shoḳhī-e-qātil hai aa.ina
hairat-nigāh-e-barq-e-tamāshā bahār-e-shoḳh
dar-parda-e-havā par-e-bismil hai aa.ina
yaañ rah ga.e haiñ nāḳhun-e-tadbīr TuuT kar
jauhar-tilism-e-uqda-e-mushkil hai aa.ina
ham-zānū-e-ta.ammul o ham-jalva-gāh-e-gul
ā.īna-band ḳhalvat-o-mahfil hai aa.ina
dil kār-gāh-e-fikr o 'asad' be-navā-e-dil
yaañ sañg-e-āstāna-e-'bedil' hai aa.ina
Top Urdushayar.com