husn ġhamze kī kashākash se chhuTā mere ba.ad
baare ārām se haiñ ahl-e-jafā mere ba.ad
mansab-e-sheftagī ke koī qābil na rahā
huī māzūli-e-andāz-o-adā mere ba.ad
sham.a bujhtī hai to us meñ se dhuāñ uThtā hai
sho.ala-e-ishq siyah-posh huā mere ba.ad
ḳhuuñ hai dil ḳhaak meñ ahvāl-e-butāñ par ya.anī
un ke nāḳhun hue mohatāj-e-hinā mere ba.ad
dar-ḳhur-e-arz nahīñ jauhar-e-bedād ko jā
nigah-e-nāz hai surme se ḳhafā mere ba.ad
hai junūñ ahl-e-junūñ ke liye āġhosh-e-vidā.a
chaak hotā hai garebāñ se judā mere ba.ad
kaun hotā hai harīf-e-mai-e-mard-afgan-e-ishq
hai mukarrar lab-e-sāqī pe salā mere ba.ad
ġham se martā huuñ ki itnā nahīñ duniyā meñ koī
ki kare tāzīyat-e-mehr-o-vafā mere ba.ad
aa.e hai bekasī-e-ishq pe ronā 'ġhālib'
kis ke ghar jā.egā sailāb-e-balā mere ba.ad
thī nigah merī nihāñ-ḳhāna-e-dil kī naqqāb
be-ḳhatar jiite haiñ arbāb-e-riyā mere ba.ad
thā maiñ guldasta-e-ahbāb kī bandish kī giyāh
mutafarriq hue mere rufaqā mere ba.ad