kyā tañg ham sitam-zadagāñ kā jahān hai
jis meñ ki ek baiza-e-mor āsmān hai
hai kā.enāt ko harakat tere zauq se
partav se āftāb ke zarre meñ jaan hai
hālāñki hai ye sīli-e-ḳhārā se laala rañg
ġhāfil ko mere shīshe pe mai kā gumān hai
kī us ne garm sīna-e-ahl-e-havas meñ jā
aave na kyuuñ pasand ki ThanDā makān hai
kyā ḳhuub tum ne ġhair ko bosa nahīñ diyā
bas chup raho hamāre bhī muñh meñ zabān hai
baiThā hai jo ki sāya-e-dīvār-e-yār meñ
farmāñ-ravā-e-kishvar-e-hindūstān hai
hastī kā e'tibār bhī ġham ne miTā diyā
kis se kahūñ ki daaġh jigar kā nishān hai
hai baare e'timād-e-vafā-dārī is qadar
'ġhālib' ham is meñ ḳhush haiñ ki nā-mehrbān hai
dehlī ke rahne vaalo 'asad' ko satāo mat
be-chāra chand roz kā yaañ mehmān hai