ā.īna dekh apnā sā muñh le ke rah ga.e
sāhab ko dil na dene pe kitnā ġhurūr thā
qāsid ko apne haath se gardan na māriye
us kī ḳhatā nahīñ hai ye merā qusūr thā
zof-e-junūñ ko vaqt-e-tapish dar bhī duur thā
ik ghar meñ muḳhtasar bayābāñ zarūr thā
ai vā.e-ġhaflat-e-nigah-e-shauq varna yaañ
har paara sañg laḳht-e-dil-e-koh-e-tūr thā
dars-e-tapish hai barq ko ab jis ke naam se
vo dil hai ye ki jis kā taḳhallus subūr thā
har rañg meñ jalā 'asad'-e-fitna-intizār
parvāna-e-tajallī-e-sham-e-zuhūr thā
shāyad ki mar gayā tire ruḳhsār dekh kar
paimāna raat maah kā labrez-e-nūr thā
jannat hai terī teġh ke kushtoñ kī muntazir
jauhar savād-e-jalva-e-mizhgān-e-hūr thā