shauq har rañg raqīb-e-sar-o-sāmāñ niklā
qais tasvīr ke parde meñ bhī uryāñ niklā
zaḳhm ne daad na dī tañgi-e-dil kī yā rab
tiir bhī sīna-e-bismil se par-afshāñ niklā
bū-e-gul nāla-e-dil dūd-e-charāġh-e-mahfil
jo tirī bazm se niklā so pareshāñ niklā
dil-e-hasrat-zada thā mā.ida-e-lazzat-e-dard
kaam yāroñ kā ba-qadr-e-lab-o-dandāñ niklā
thī nau-āmūz-e-fanā himmat-e-dushvār-pasand
saḳht mushkil hai ki ye kaam bhī āsāñ niklā
dil meñ phir girye ne ik shor uThāyā 'ġhālib'
aah jo qatra na niklā thā so tūfāñ niklā
kār-ḳhāne se junūñ ke bhī maiñ uryāñ niklā
merī qismat kā na ek-ādh garebāñ niklā
sāġhar-e-jalva-e-sarshār hai har zarra-e-ḳhāk
shauq-e-dīdār balā ā.ina-sāmāñ niklā
kuchh khaTaktā thā mire siine meñ lekin āḳhir
jis ko dil kahte the so tiir kā paikāñ niklā
kis qadar ḳhaak huā hai dil-e-majnūñ yā rab
naqsh-e-har-zarra suvaidā-e-bayābāñ niklā
shor-e-rusvā.i-e-dil dekh ki yak-nāla-e-shauq
laakh parde meñ chhupā par vahī uryāñ niklā
shoḳhī-e-rañg-e-hinā ḳhūn-e-vafā se kab tak
āḳhir ai ahd-shikan tū bhī pashemāñ niklā
jauhar-ījād-e-ḳhat-e-sabz hai ḳhud-bīnī-e-husn
jo na dekhā thā so ā.īne meñ pinhāñ niklā
maiñ bhī māzūr-e-junūñ huuñ 'asad' ai ḳhāna-ḳharāb
peshvā lene mujhe ghar se bayābāñ niklā