Mirza Ghalib

pa-ba-daman ho raha hun bas-ki main sahra-naward

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
pā-ba-dāman ho rahā huuñ bas-ki maiñ sahrā-navard
ḳhār-e-pā haiñ jauhar-e-ā.īna-e-zānū mujhe
dekhnā hālat mire dil kī ham-āġhoshī ke vaqt
hai nigāh-e-āshnā terā sar-e-har-mū mujhe
huuñ sarāpā sāz-e-āhañg-e-shikāyat kuchh na pūchh
hai yahī behtar ki logoñ meñ na chheḌe tū mujhe
bā.is-e-vāmāndgī hai umr-e-fursat-jū mujhe
kar diyā hai pā-ba-zanjīr-e-ram-e-āhū mujhe
ḳhāk-e-fursat bar-sar-e-zauq-e-fanā ai intizār
hai ġhubār-e-shīsha-e-sā.at ram-e-āhū mujhe
ham-zabāñ aayā nazar fikr-e-suḳhan meñ tū mujhe
mardumuk hai tūtī-e-ā.īna-e-zānū mujhe
yād-e-mizhgāñ meñ ba-nashtar-e-zār-e-saudā-e-ḳhayāl
chāhiye vaqt-e-tapish yak-dast sad-pahlū mujhe
iztirāb-e-umr be-matlab nahīñ āḳhir ki hai
justujū-e-fursat-e-rabt-e-sar-e-zānū mujhe
chāhiye darmān-e-rīsh-e-dil bhī teġh-e-yār se
maram-e-zañgār hai vo vasma-e-abrū mujhe
kasrat-e-jaur-o-sitam se ho gayā huuñ be-dimāġh
ḳhūb-rūyoñ ne banāyā 'ġhālib'-e-bad-ḳhū mujhe
fursat-e-ārām-e-ġhash hastī hai bohrān-e-adam
hai shikast-e-rañg-e-imkāñ gardish-e-pahlū mujhe
sāz-e-īmā-e-fanā hai ālam-e-pīrī 'asad'
qāmat-e-ḳham se hai hāsil shoḳhī-e-abrū mujhe
Top Urdushayar.com