kahte ho na deñge ham dil agar paḌā paayā
dil kahāñ ki gum kiije ham ne mudda.ā paayā
ishq se tabī.at ne ziist kā mazā paayā
dard kī davā paa.ī dard-e-be-davā paayā
dost-dār-e-dushman hai e'timād-e-dil ma.alūm
aah be-asar dekhī naala nā-rasā paayā
sādgī o purkārī be-ḳhudī o hushyārī
husn ko taġhāful meñ jur.at-āzmā paayā
ġhuncha phir lagā khilne aaj ham ne apnā dil
ḳhuuñ kiyā huā dekhā gum kiyā huā paayā
hāl-e-dil nahīñ ma.alūm lekin is qadar ya.anī
ham ne bār-hā DhūñDā tum ne bār-hā paayā
shor-e-pand-e-nāseh ne zaḳhm par namak chhiḌkā
aap se koī pūchhe tum ne kyā mazā paayā
hai kahāñ tamannā kā dūsrā qadam yā rab
ham ne dasht-e-imkāñ ko ek naqsh-e-pā paayā
be-dimāġh-e-ḳhajlat huuñ rashk-e-imtihāñ tā-kai
ek bekasī tujh ko ālam-āshnā paayā
ḳhāk-bāzi-e-ummīd kār-ḳhāna-e-tiflī
yaas ko do-ālam se lab-ba-ḳhanda vā paayā
kyuuñ na vahshat-e-ġhālib bāj-ḳhvāh-e-taskīñ ho
kushta-e-taġhāful ko ḳhasm-e-ḳhūñ-bahā paayā
fikr-e-nāla meñ goyā halqa huuñ ze-sar-tā-pā
uzv uzv juuñ zanjīr yak-dil-e-sadā paayā
shab nazāra-parvar thā ḳhvāb meñ ḳhayāl us kā
sub.h mauja-e-gul ko naqsh-e-boriyā paayā
jis qadar jigar ḳhuuñ ho kūcha dādan-e-gul hai
zaḳhm-e-teġh-e-qātil ko turfa dil-kushā paayā
hai makīñ kī pā-dārī nām-e-sāhib-e-ḳhāna
ham se tere kūche ne naqsh-e-mudda.ā paayā
ne 'asad' jafā-sā.il ne sitam junūñ-mā.il
tujh ko jis qadar DhūñDā ulfat-āzmā paayā