Mirza Ghalib

nahin hai zaKHm koi baKHiye ke dar-KHur mere tan mein

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
nahīñ hai zaḳhm koī baḳhiye ke dar-ḳhur mire tan meñ
huā hai tār-e-ashk-e-yās rishta chashm-e-sozan meñ
huī hai māne-e-zauq-e-tamāshā ḳhāna-vīrānī
kaf-e-sailāb baaqī hai ba-rañg-e-pumba rauzan meñ
vadī.at-ḳhāna-e-bedād-e-kāvish-hā-e-mizhgāñ huuñ
nagīn-e-nām-e-shāhid hai mire har qatra-e-ḳhūñ tan meñ
bayāñ kis se ho zulmat-gustarī mere shabistāñ kī
shab-e-mah ho jo rakh duuñ pamba dīvāroñ ke rauzan meñ
nikohish māna-e-be-rabti-e-shor-e-junūñ aa.ī
huā hai ḳhanda-e-ahbāb baḳhiya jeb-o-dāman meñ
hue us mehr-vash ke jalva-e-timsāl ke aage
par-afshāñ jauhar ā.īne meñ misl-e-zarra rauzan meñ
na jānūñ nek huuñ yā bad huuñ par sohbat-muḳhālif hai
jo gul huuñ to huuñ gulḳhan meñ jo ḳhas huuñ to huuñ gulshan meñ
hazāroñ dil diye josh-e-junūn-e-ishq ne mujh ko
siyah ho kar suvaidā ho gayā har qatra-e-ḳhūñ tan meñ
'asad' zindāni-e-tāsīr-e-ulfat-hā-e-ḳhūbāñ huuñ
ḳham-e-dast-e-navāzish ho gayā hai tauq gardan meñ
fuzūñ kī dostoñ ne hirs-e-qātil zauq-e-kushtan meñ
ho.e haiñ baḳhiya-hā-e-zaḳhm jauhar teġh-e-dushman meñ
tamāshā kardanī hai lutf-e-zaḳhm-e-intizār ai dil
suvaidā dāġh-e-marham mardumuk hai chashm-e-sozan meñ
dil-o-dīn-o-ḳhirad tārāj-e-nāz-e-jalva-pairā.ī
huā hai jauhar-e-ā.īna ḳhel-e-mor ḳhirman meñ
nikohish māne-e-dīvāngī-hā-e-junūñ aa.ī
lagāyā ḳhanda-e-nāseh ne baḳhiya jeb-o-dāman meñ
Top Urdushayar.com