jis kā koī bhī nahīñ us kā ḳhudā hai yaaro
maiñ nahīñ kahtā kitāboñ meñ likhā hai yaaro
muḌ ke dekhūñ to kidhar aur sadā duuñ to kise
mere maazī ne mujhe chhoḌ diyā hai yaaro
is sazā se to mirā jī hī nahīñ bhartā hai
zindagī kaise gunāhoñ kī sazā hai yaaro
shab hai is vaqt koī ghar na khulā pāoge
aao mai-ḳhāne kā darvāza khulā hai yaaro
koī kartā hai duā.eñ to ye jal jaatā hai
merā jīvan kisī mandir kā diyā hai yaaro
maiñ añdhere meñ rahūñ yā maiñ ujāle meñ rahūñ
aisā lagtā hai koī dekh rahā hai yaaro
haal kā zaḳhm to maazī se bahut gahrā hai
aaj zaḳhmī mirā saaya bhī huā hai yaaro
intizār aaj ke din kā thā baḌī muddat se
aaj us ne mujhe dīvāna kahā hai yaaro