Mirza Ghalib

na hoga yak-bayaban mandgi se zauq kam mera

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
na hogā yak-bayābāñ māñdgī se zauq kam merā
habāb-e-mauja-e-raftār hai naqsh-e-qadam merā
mohabbat thī chaman se lekin ab ye be-dimāġhī hai
ki mauj-e-bū-e-gul se naak meñ aatā hai dam merā
rah-e-ḳhvābīda thī gardan-kash-e-yak-dars-e-āgāhī
zamīñ ko saili-e-ustād hai naqsh-e-qadam merā
surāġh-āvāra-e-arz-e-do-ālam shor-e-mahshar huuñ
par-afshāñ hai ġhubār aañ sū-e-sahrā-e-adam merā
havā-e-sub.h yak-ālam garebāñ chākī-e-gul hai
dahān-e-zaḳhm paidā kar agar khātā hai ġham merā
na ho vahshat-kash-e-dars-e-sarāb-e-satr-e-āgāhī
maiñ gard-e-rāh huuñ be-mudda.ā hai pech-o-ḳham merā
'asad' vahshat-parast-e-gosha-e-tanhā.i-e-dil hai
ba-rañg-e-mauj-e-mai ḳhamyāza-e-sāġhar hai ram merā
Top Urdushayar.com