diyā hai dil agar us ko bashar hai kyā kahiye
huā raqīb to ho nāma-bar hai kyā kahiye
ye zid ki aaj na aave aur aa.e bin na rahe
qazā se shikva hameñ kis qadar hai kyā kahiye
rahe hai yuuñ gah-o-be-gah ki kū-e-dost ko ab
agar na kahiye ki dushman kā ghar hai kyā kahiye
zahe karishma ki yuuñ de rakkhā hai ham ko fareb
ki bin kahe hī unheñ sab ḳhabar hai kyā kahiye
samajh ke karte haiñ bāzār meñ vo pursish-e-hāl
ki ye kahe ki sar-e-rahguzar hai kyā kahiye
tumheñ nahīñ hai sar-e-rishta-e-vafā kā ḳhayāl
hamāre haath meñ kuchh hai magar hai kyā kahiye
unheñ savāl pe zom-e-junūñ hai kyuuñ laḌiye
hameñ javāb se qat-e-nazar hai kyā kahiye
hasad sazā-e-kamāl-e-suḳhan hai kyā kījiye
sitam bahā-e-matā-e-hunar hai kyā kahiye
kahā hai kis ne ki 'ġhālib' burā nahīñ lekin
sivā.e is ke ki āshufta-sar hai kyā kahiye