Mirza Ghalib

phir kuchh ek dil ko be-qarari hai

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
phir kuchh ik dil ko be-qarārī hai
siina juyā-e-zaḳhm-e-kārī hai
phir jigar khodne lagā nāḳhun
āmad-e-fasl-e-lāla-kārī hai
qibala-e-maqsad-e-nigāh-e-niyāz
phir vahī parda-e-amārī hai
chashm dallāl-e-jins-e-rusvā.ī
dil ḳharīdār-e-zauq-e-ḳhvārī hai
vahī sad-rañg nāla-farsā.ī
vahī sad-gona ashk-bārī hai
dil havā-e-ḳhirām-e-nāz se phir
mahsharistān-e-be-qarārī hai
jalva phir arz-e-nāz kartā hai
roz bāzār-e-jāñ-sipārī hai
phir usī bevafā pe marte haiñ
phir vahī zindagī hamārī hai
phir khulā hai dar-e-adālat-e-nāz
garm-bāzār-e-faujdārī hai
ho rahā hai jahān meñ andher
zulf kī phir sirishta-dārī hai
phir diyā pāra-e-jigar ne savāl
ek fariyād o āh-o-zārī hai
phir hue haiñ gavāh-e-ishq talab
ashk-bārī kā hukm-jārī hai
dil o mizhgāñ kā jo muqaddama thā
aaj phir us kī rū-bakārī hai
be-ḳhudī be-sabab nahīñ 'ġhālib'
kuchh to hai jis kī parda-dārī hai
Top Urdushayar.com