Mirza Ghalib

kyun jal gaya na tab-e-ruKH-e-yar dekh kar

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
kyuuñ jal gayā na tāb-e-ruḳh-e-yār dekh kar
jaltā huuñ apnī tāqat-e-dīdār dekh kar
ātish-parast kahte haiñ ahl-e-jahāñ mujhe
sargarm-e-nāla-hā-e-sharar-bār dekh kar
kyā ābrū-e-ishq jahāñ aam ho jafā
ruktā huuñ tum ko be-sabab āzār dekh kar
aatā hai mere qatl ko par josh-e-rashk se
martā huuñ us ke haath meñ talvār dekh kar
sābit huā hai gardan-e-mīnā pe ḳhūn-e-ḳhalq
larze hai mauj-e-mai tirī raftār dekh kar
vā-hasratā ki yaar ne khīñchā sitam se haath
ham ko harīs-e-lazzat-e-āzār dekh kar
bik jaate haiñ ham aap matā-e-suḳhan ke saath
lekin ayār-e-taba.a-e-ḳharīdār dekh kar
zunnār bāñdh sub.ha-e-sad-dāna toḌ Daal
rah-rau chale hai raah ko hamvār dekh kar
in ābloñ se paañv ke ghabrā gayā thā maiñ
jī ḳhush huā hai raah ko pur-ḳhār dekh kar
kyā bad-gumāñ hai mujh se ki ā.īne meñ mire
tuutī kā aks samjhe hai zañgār dekh kar
girnī thī ham pe barq-e-tajallī na tuur par
dete haiñ baada zarf-e-qadah-ḳhvār dekh kar
sar phoḌnā vo 'ġhālib'-e-shorīda haal kā
yaad aa gayā mujhe tirī dīvār dekh kar
Top Urdushayar.com