Mirza Ghalib

koi din gar zindagani aur hai

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
koī din gar zindagānī aur hai
apne jī meñ ham ne Thānī aur hai
ātish-e-dozaḳh meñ ye garmī kahāñ
soz-e-ġham-hā-e-nihānī aur hai
bār-hā dekhī haiñ un kī ranjisheñ
par kuchh ab ke sargirānī aur hai
de ke ḳhat muñh dekhtā hai nāma-bar
kuchh to paiġhām-e-zabānī aur hai
qāta-e-emār hai aksar nujūm
vo balā-e-āsmānī aur hai
ho chukīñ 'ġhālib' balā.eñ sab tamām
ek marg-e-nā-gahānī aur hai
Top Urdushayar.com