Mirza Ghalib

meri hasti faza-e-hairat aabaad-e-tamanna hai

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
mirī hastī fazā-e-hairat ābād-e-tamannā hai
jise kahte haiñ naala vo usī aalam kā anqā hai
ḳhizāñ kyā fasl-e-gul kahte haiñ kis ko koī mausam ho
vahī ham haiñ qafas hai aur mātam bāl-o-par kā hai
vafā-e-dilbarāñ hai ittifāqī varna ai hamdam
asar fariyād-e-dil-hā-e-hazīñ kā kis ne dekhā hai
na laa.ī shoḳhi-e-andesha tāb-e-rañj-e-naumīdī
kaf-e-afsos milnā ahd-e-tajdīd-e-tamannā hai
na sove ābloñ meñ gar sirishk-e-dīda-e-nam se
ba-jaulāñ-gāh-e-naumīdī nigāh-e-ājizāñ pā hai
ba-saḳhtī-hā-e-qaid-e-zindagī mālūm āzādī
sharar bhī said-e-dām-e-rishta-e-rag-hā-e-ḳhārā hai
taġhāful-mashrabī se nā-tamāmī bas-ki paidā hai
nigāh-e-nāz chashm-e-yār meñ zunnār-e-mīnā hai
tasarruf vahshiyoñ meñ hai tasavvur-hā-e-majnūñ kā
savād-e-chashm-e-āhū aks-e-ḳhāl-e-rū-e-lailā hai
mohabbat tarz-e-paivand-e-nihāl-e-dostī jaane
davīdan resha saañ muft-e-rag-e-ḳhvāb-e-zuleḳhā hai
kiyā yak-sar gudāz-e-dil niyāz-e-joshish-e-hasrat
suvaidā nusḳha-e-tah-bandi-e-dāġh-e-tamannā hai
hujūm-e-rezish-e-ḳhūñ ke sabab rañg uḌ nahīñ saktā
hinā-e-panja-e-saiyyād murġh-e-rishta bar-pā hai
asar soz-e-mohabbat kā qayāmat be-muhābā hai
ki rag se sañg meñ tuḳhm-e-sharar kā resha paidā hai
nihāñ hai gauhar-e-maqsūd jeb-e-ḳhud-shanāsī meñ
ki yaañ ġhavvās hai timsāl aur ā.īna dariyā hai
azīzo zikr-e-vasl-e-ġhair se mujh ko na bahlāo
ki yaañ afsūn-e-ḳhvāb afsāna-e-ḳhvāb-e-zulaiḳhā hai
tasavvur bahr-e-taskīn-e-tapīdan-hā-e-tifl-e-dil
ba-bāġh-e-rañg-hā-e-rafta gul-chīn-e-tamāshā hai
ba-sa.i-e-ġhair hai qat-e-libās-e-ḳhāna-vīrānī
ki nāz-e-jāda-e-rah rishta-e-dāmān-e-sahrā hai
Top Urdushayar.com