Mirza Ghalib

bazm-e-shahanshah mein ashaar ka daftar khula

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
bazm-e-shāhanshāh meñ ash.ār kā daftar khulā
rakhiyo yā rab ye dar-e-ganjīna-e-gauhar khulā
shab huī phir anjuman-e-raḳhshanda kā manzar khulā
is takalluf se ki goyā but-kade kā dar khulā
garche huuñ dīvāna par kyuuñ dost kā khā.ūñ fareb
āstīñ meñ dashna pinhāñ haath meñ nashtar khulā
go na samjhūñ us kī bāteñ go na pā.ūñ us kā bhed
par ye kyā kam hai ki mujh se vo parī-paikar khulā
hai ḳhayāl-e-husn meñ husn-e-amal kā sā ḳhayāl
ḳhuld kā ik dar hai merī gor ke andar khulā
muñh na khulne par hai vo aalam ki dekhā hī nahīñ
zulf se baḌh kar naqāb us shoḳh ke muñh par khulā
dar pe rahne ko kahā aur kah ke kaisā phir gayā
jitne arse meñ mirā lipTā huā bistar khulā
kyuuñ añdherī hai shab-e-ġham hai balāoñ kā nuzūl
aaj udhar hī ko rahegā dīda-e-aḳhtar khulā
kyā rahūñ ġhurbat meñ ḳhush jab ho havādis kā ye haal
naama laatā hai vatan se nāma-bar aksar khulā
us kī ummat meñ huuñ maiñ mere raheñ kyuuñ kaam band
vāste jis shah ke 'ġhālib' gumbad-e-be-dar khulā
Top Urdushayar.com