hujūm-e-nāla hairat ājiz-e-arz yak-afġhāñ hai
ḳhamoshī resha-e-sad-nīstāñ se ḳhas-ba-dandāñ hai
takalluf-bar-taraf hai jāñ-sitāñ-tar lutf-e-bad-ḳhūyāñ
nigāh-e-be-hijāb-e-nāz teġh-e-tez-e-uryāñ hai
huī ye kasrat-e-ġham se talaf kaifiyat-e-shādī
ki sub.h-e-īd mujh ko bad-tar az-chāk-e-garebāñ hai
dil o diiñ naqd lā saaqī se gar saudā kiyā chāhe
ki us bāzār meñ sāġhar matā-e-dast-gardāñ hai
ġham āġhosh-e-balā meñ parvarish detā hai āshiq ko
charāġh-e-raushan apnā qulzum-e-sarsar kā marjāñ hai
takalluf sāz-e-rusvā.ī hai ġhāfil sharm-e-ranā.ī
dil-e-ḳhūñ-gashta dar dast-e-hinā-ālūda uryāñ hai
'asad' jam.iyat-e-dil dar-kinār-e-be-ḳhudī ḳhush-tar
do-ālam āgahī sāmān-e-yak-ḳhvāb-e-pareshāñ hai