Mirza Ghalib

junun ki dast-giri kis se ho gar ho na uryani

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
junūñ kī dast-gīrī kis se ho gar ho na uryānī
garebāñ-chāk kā haq ho gayā hai merī gardan par
ba-rañg-e-kāġhaz-e-ātish-zada nairañg-e-betābī
hazār ā.īna dil bāñdhe hai bāl-e-yak-tapīdan par
falak se ham ko aish-e-rafta kā kyā kyā taqāzā hai
matā-e-burda ko samjhe hue haiñ qarz rahzan par
ham aur vo be-sabab rañj-āshnā dushman ki rakhtā hai
shuā-e-mehr se tohmat nigah kī chashm-e-rauzan par
fanā ko sauñp gar mushtāq hai apnī haqīqat kā
faroġh-e-tāla-e-ḳhāshāk hai mauqūf gulḳhan par
'asad' bismil hai kis andāz kā qātil se kahtā hai
ki mashq-e-nāz kar ḳhūn-e-do-ālam merī gardan par
fusūn-e-yak-dilī hai lazzat-e-bedād dushman par
ki vajd-e-barq juuñ parvāna bāl-afshāñ hai ḳhirman par
takalluf ḳhār-ḳhār-e-iltimās-e-be-qarārī hai
ki rishta bāñdhtā hai pairahan añgusht-e-sozan par
ye kyā vahshat hai ai dīvāne pesh-az-marg vāvailā
rakkhī be-jā binā-e-ḳhāna-e-zanjīr-e-shevan par
Top Urdushayar.com