Mirza Ghalib

ishrat-e-qatra hai dariya mein fana ho jaana

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
ishrat-e-qatra hai dariyā meñ fanā ho jaanā
dard kā had se guzarnā hai davā ho jaanā
tujh se qismat meñ mirī sūrat-e-qufl-e-abjad
thā likhā baat ke bante hī judā ho jaanā
dil huā kasmakash-e-chāra-e-zehmat meñ tamām
miT gayā ghisne meñ is uqde kā vā ho jaanā
ab jafā se bhī haiñ mahrūm ham allāh allāh
is qadar dushman-e-arbāb-e-vafā ho jaanā
zo.af se girya mubaddal ba-dam-e-sard huā
bāvar aayā hameñ paanī kā havā ho jaanā
dil se miTnā tirī añgusht-e-hinā.ī kā ḳhayāl
ho gayā gosht se nāḳhun kā judā ho jaanā
hai mujhe abr-e-bahārī kā baras kar khulnā
rote rote ġham-e-furqat meñ fanā ho jaanā
gar nahīñ nik.hat-e-gul ko tire kūche kī havas
kyuuñ hai gard-e-rah-e-jaulān-e-sabā ho jaanā
baḳhshe hai jalva-e-gul zauq-e-tamāshā 'ġhālib'
chashm ko chāhiye har rañg meñ vā ho jaanā
tā ki tujh par khule ejāz-e-havā-e-saiqal
dekh barsāt meñ sabz aa.ine kā ho jaanā
Top Urdushayar.com