Mirza Ghalib

huzur-e-shah mein ahl-e-suKHan ki aazmaish hai

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
huzūr-e-shāh meñ ahl-e-suḳhan kī āzmā.ish hai
chaman meñ ḳhush-navāyan-e-chaman kī āzmā.ish hai
qad o gesū meñ qais o kohkan kī āzmā.ish hai
jahāñ ham haiñ vahāñ dār-o-rasan kī āzmā.ish hai
kareñge kohkan ke hausle kā imtihān āḳhir
abhī us ḳhasta ke nerve tan kī āzmā.ish hai
nasīm-e-misr ko kyā pīr-e-kan.āñ kī havā-ḳhvāhī
use yūsuf kī bū-e-pairahan kī āzmā.ish hai
vo aayā bazm meñ dekho na kahiyo phir ki ġhāfil the
shakeb-o-sabr-e-ahl-e-anjuman kī āzmā.ish hai
rahe dil hī meñ tiir achchhā jigar ke paar ho behtar
ġharaz shust-e-but-e-nāvak-fagan kī āzmā.ish hai
nahīñ kuchh sub.ha-o-zunnār ke phande meñ gīrā.ī
vafādārī meñ shaiḳh o barhaman kī āzmā.ish hai
paḌā rah ai dil-e-vābasta betābī se kyā hāsil
magar phir tāb-e-zulf-e-pur-shikan kī āzmā.ish hai
rag-o-pai meñ jab utre zahr-e-ġham tab dekhiye kyā ho
abhī to talḳhī-e-kām-o-dahan kī āzmā.ish hai
vo āveñge mire ghar va.ada kaisā dekhnā 'ġhālib'
na.e fitnoñ meñ ab charḳh-e-kuhan kī āzmā.ish hai
Top Urdushayar.com