lab-e-ḳhushk dar-tishnagī-murdagāñ kā
ziyārat-kada huuñ dil-āzurdagāñ kā
hama nā-umīdī hama bad-gumānī
maiñ dil huuñ fareb-e-vafā-ḳhurdagāñ kā
shaguftan kamīñ-gāh-e-taqrīb-jūī
tasavvur huuñ be-mojib āzurdagāñ kā
ġharīb-e-sitam-dīdah-e-bāz-gashtan
suḳhan huuñ suḳhan bar lab-āvurdagāñ kā
sarāpā yak-ā.īña-dār-e-shikastan
irāda huuñ yak-ālam-afsurdagāñ kā
ba-sūrat takalluf ba-ma.anī ta.assuf
'asad' maiñ tabassum huuñ pazhmurdagāñ kā