ġham khāne meñ buudā dil-e-nākām bahut hai
ye rañj ki kam hai mai-e-gulfām bahut hai
kahte hue saaqī se hayā aatī hai varna
hai yuuñ ki mujhe durd-e-tah-e-jām bahut hai
ne tiir kamāñ meñ hai na sayyād kamīñ meñ
goshe meñ qafas ke mujhe ārām bahut hai
kyā zohd ko mānūñ ki na ho garche riyā.ī
pādāsh-e-amal kī tama-e-ḳhām bahut hai
haiñ ahl-e-ḳhirad kis ravish-e-ḳhās pe nāzāñ
pābastagi-e-rasm-o-rāh-e-ām bahut hai
zamzam hī pe chhoḌo mujhe kyā tauf-e-haram se
ālūdā-ba-mai jāma-e-ehrām bahut hai
hai qahr gar ab bhī na bane baat ki un ko
inkār nahīñ aur mujhe ibrām bahut hai
ḳhuuñ ho ke jigar aañkh se Tapkā nahīñ ai marg
rahne de mujhe yaañ ki abhī kaam bahut hai
hogā koī aisā bhī ki 'ġhālib' ko na jaane
shā.ir to vo achchhā hai pa badnām bahut hai