yak-zarra-e-zamīñ nahīñ be-kār baaġh kā
yaañ jaada bhī fatīla hai laale ke daaġh kā
be-mai kise hai tāqat-e-āshob-e-āgahī
khīñchā hai ijz-e-hausla ne ḳhat ayāġh kā
bulbul ke kārobār pe haiñ ḳhanda-hā-e-gul
kahte haiñ jis ko ishq ḳhalal hai dimāġh kā
taaza nahīñ hai nashsha-e-fikr-e-suḳhan mujhe
tiryākī-e-qadīm huuñ dūd-e-charāġh kā
sau baar band-e-ishq se āzād ham hue
par kyā kareñ ki dil hī adū hai farāġh kā
be-ḳhūn-e-dil hai chashm meñ mauj-e-nigah ġhubār
ye mai-kada ḳharāb hai mai ke surāġh kā
bāġh-e-shagufta terā bisāt-e-nashāt-e-dil
abr-e-bahār ḳhum-kada kis ke dimāġh kaa?
josh-e-bahār-e-kulfat-e-nazzāra hai 'asad'
hai abr pamba rauzan-e-dīvāar-e-bāġh kā