Mirza Ghalib

na lewe gar KHas-e-jauhar tarawat sabza-e-KHat se

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
na leve gar ḳhas-e-jauhar tarāvat sabza-e-ḳhat se
lagā.e ḳhāna-e-ā.īna meñ rū-e-nigār ātish
faroġh-e-husn se hotī hai hall-e-mushkil-e-āshiq
na nikle sham.a ke pā se nikāle gar na ḳhaar ātish
sharar hai rañg ba.ad iz.hār-e-tāb-e-jalva-e-tamkīñ
kare hai sañg par ḳhurshīd āb-e-rū-e-kār ātish
panāve be-gudāz-e-mom rabt-e-paikar-ārā.ī
nikāle kyā nihāl-e-sham.a be-tuḳhm-e-sharār ātish
ḳhayāl-e-dūd thā sar-josh-e-saudā-e-ġhalat-fahmī
agar rakhtī na ḳhākistar-nashīnī kā ġhubār ātish
havā-e-par-fishānī barq-e-ḳhirman-hā-e-ḳhātir hai
ba-bāl-e-sho.ala-e-betāb hai parvāna-zār ātish
nahīñ barq-o-sharar juz vahshat-e-zabt-e-tapīdan-hā
bilā gardān-e-be-parvā ḳharāmī-hā-e-yār ātish
dhueñ se aag ke ik abr-e-dariyā-bār ho paidā
'asad' haidar-parastoñ se agar hove do-chār ātish
Top Urdushayar.com