Mirza Ghalib

nukta-chin hai gham-e-dil usko sunae na bane

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
nukta-chīñ hai ġham-e-dil us ko sunā.e na bane
kyā bane baat jahāñ baat banā.e na bane
maiñ bulātā to huuñ us ko magar ai jazba-e-dil
us pe ban jaa.e kuchh aisī ki bin aa.e na bane
khel samjhā hai kahīñ chhoḌ na de bhuul na jaa.e
kaash yuuñ bhī ho ki bin mere satā.e na bane
ġhair phirtā hai liye yuuñ tire ḳhat ko ki agar
koī pūchhe ki ye kyā hai to chhupā.e na bane
is nazākat kā burā ho vo bhale haiñ to kyā
haath aaveñ to unheñ haath lagā.e na bane
kah sake kaun ki ye jalvagarī kis kī hai
parda chhoḌā hai vo us ne ki uThā.e na bane
maut kī raah na dekhūñ ki bin aa.e na rahe
tum ko chāhūñ ki na aao to bulā.e na bane
bojh vo sar se girā hai ki uThā.e na uThe
kaam vo aan paḌā hai ki banā.e na bane
ishq par zor nahīñ hai ye vo ātish 'ġhālib'
ki lagā.e na lage aur bujhā.e na bane
Top Urdushayar.com