ye ham jo hijr meñ dīvār-o-dar ko dekhte haiñ
kabhī sabā ko kabhī nāma-bar ko dekhte haiñ
vo aa.e ghar meñ hamāre ḳhudā kī qudrat hai
kabhī ham un ko kabhī apne ghar ko dekhte haiñ
nazar lage na kahīñ us ke dast-o-bāzū ko
ye log kyuuñ mire zaḳhm-e-jigar ko dekhte haiñ
tire javāhīr-e-turf-e-kulah ko kyā dekheñ
ham auj-e-tāla-e-lāl-o-gohar ko dekhte haiñ